Monday, April 9, 2007
Maine Jaana...
Satrah saal ki umra thi aayi
zindagi ko jaanane ki eechha thi paayi
uski ek sunder tasveer thi banayi
par kuch aur thi sachaai

Kuch aage badh maine jaana...
zindagi waisi nahi jaisi hum sochate hai
band aankho se jise hum sanjogte hai
zindagi to hamari soch se pare hai
kalpana se door alag khade hai

Tab maine jaana...

Zindagi ek khatta meethe ehsaas hai
jise chakhne ka sabka apna andaaz hai
dekho to dukho ka bhandaar hai
jaano to aahashon ka baazar hai

To kya hua,agar kabhi dukho ke baadal cha jaye
kyun dukhi ho,kismat ki duhai de,rone baith jaye
kyun hum halaton ko khud par haavi hone dein
Tab humein zarurat hai...

Khud ko janane ki, pehchanane ki
aashaon ke naye deep jalane ki
zindagi ko ek naya swaroop dene ki
kyunki....

Humein yeh yaad rakhna hoga
ki har andhre ka ek ujala hoga
Tab maine jaana...

Zindagi ko humare anusaar dhalne ke liye
hume ladana hoga aur jeetna bhi hoga,
kyunki...
Zindagi pehle darati hai, rulati hai
aur fir hasati hai
par sangharsh karne walo ka
humesha saath deti hai....!
 
posted by Jyoti at 12:26 PM ¤ Permalink ¤


2 Comments:


  • At April 9, 2007 at 9:25 PM, Blogger Pankaj

    hey Champ thats all very touching '!!!

     
  • At April 10, 2007 at 6:41 AM, Blogger Deepak

    ohoooo to ye quality chupi thi ab tak...nice yaar.n ur these two lines touches me....

    "Humein yeh yaad rakhna hoga
    ki har andhre ka ek ujala hoga"
    &&
    "par sangharsh karne walo ka
    humesha saath deti hai....!"

    keep it UP !!