Sunday, May 6, 2007
Hai meri manzil kis oor
Is jagah se dikhai na padata koi chor
na jane meri manzil hai kis oor
samajh na pau,kis dagar mein jaun
kis rastein par apne kadam badhau

Har dagar lag rahi kuch suni si
har gali hai thodi bhigi si
chahun mein sahi rah pe chalna
par hai wo kaunsi dagar mein ye samajh pau na

Is zindagi ke kafile mein
mile har mod par, log kitne
kuch dilon mein apni jagah bana gaye
to kuch zindagi ka sabak sikha gaye

Chaha tha, saath mile un dilon ko chu jane walon ka
magar samay ko kahan aadat soch ka sath dene ka
hua hamesha soch se pare hai
ab to man kuch soch se bhi ghabraye hai

Mudi hai zindagi kuch apne hi andaz mein
ghula hai ek naya rang har ujale mein
na jane kyun wo apne itne roop hai badalti
Akhir kya hai wo mujhe sikhana chahati

Chahun fir bhi, mein dekh na pau
wo kaunsa rasta, wo kaunsi dagar apnau
dikhai deta na koi chor
na jane hai meri manzil kis oor!!!
 
posted by Jyoti at 8:27 PM ¤ Permalink ¤ 4 comments