Sunday, April 6, 2008
tanha

tanha ho gaye din, fir laute wahi khali pal
jinse bhaga karte the, wahi sathi hai ajkal

suni hai chandani, khali hai asman
rusawa hai aahein, doori banayen hai bahein
kho gaye woh raste, choot gayi woh rahein
na jane kahan simat gaya woh jahan

kasoor na kisi ka hai,
yeh to bas dastoor is duniya ka hai
ki pa kar bhi na kuch mila hai
aur na ab khone ko hi kuch bacha hai.

_|
 
posted by Jyoti at 6:10 AM ¤ Permalink ¤ 12 comments