Sunday, February 8, 2009
Nai Udaan
Ab bas chand dino ki hai baat
jab ghar ki chidiya ka hoga saath
sooni kar galiyan, ghar aur angan
ud jayegi bharne ek nai udaan....|

ps: these are wordings of a mother for her
daughter who is going to marry in just couple of days
 
posted by Jyoti at 2:26 AM ¤ Permalink ¤ 3 comments
Friday, October 3, 2008
Kyun??
Katra Katra ho ke dard karz ki tarah utra
har shabd rooh ko baant kar guzra
aashaoyon ke bazar mein har ek sapna
kaudiyon ke mol pe bika

koshish to ki har baar
ke galati na ho is baar

par bhala kis khushi mein
zindagi hum par khush ho
kyun mil jaye mujhe
jiski humne chahat ki ho
na jane kis galati ki saza
mein hume sooli baar baar ho??
 
posted by Jyoti at 2:24 PM ¤ Permalink ¤ 10 comments
Tuesday, August 12, 2008
lamha..
Ek kadam hum chale the
the chale ek kadam woh

na malum tha kis oar chale
fir bhi mil kar dono badhe

kudarat kar rahi thi apni hi kuch saazish,
us lamhe ko ek baar, aur jeene ki hai khwaish |
 
posted by Jyoti at 9:41 PM ¤ Permalink ¤ 5 comments
Thursday, June 19, 2008
ek muskurahat!!!
chote bacho ki hansi ki tarah
in thandi jhoomti hawaon ki tarah
in barishon ki pani ki boondo ki tarah
subah patton pe padi bheeni si os ki tarah

bachapan ko yaad karte hue honthon ki tarah
bahut hua, roothna manana aur chidana
chal ek baar zindagi musukurade tu ab zara :)

Labels: , ,

 
posted by Jyoti at 2:59 AM ¤ Permalink ¤ 16 comments
Monday, June 9, 2008
Kuch kehta hai woh
Jab se maine use dekha hai
chupchap se wo wahi khada hai
atal akela, murjhaya sa
lamba sookha kuch thaka hua sa

Janne kab se wo wahan reh raha...

maine dekha hai use wahin
un tez hawaon mein bhi
un june ki tapati dhoop mein bhi
un december jade ki dhundh mein bhi

mano humse kuch keh raha....

dekho ghabrana na tum kabhi jeeven se
rehna atal har mausam mein
thakna mat kabhi sangharsh se
yahin batane main khada hun kab se

milta hai wo pul se pehle,
sadak ki bagal mein
reh raha matlabi logo ke beech,
pradushan bhaare shaher mein
kha raha hai samay ki thaped
fir bhi bina kisi shikayat ke
chupchap,atal, akela khada hai wo ped(tree)....
 
posted by Jyoti at 10:55 PM ¤ Permalink ¤ 18 comments
Sunday, June 1, 2008
khushi ke pal
aate aate hontho pe ruk gayi,
girte girte ankhon mein tham gayi
choti si wo, uski di hui khushi
palo ko ek baar fir khushnuma kar
...jeena seekha gayi
 
posted by Jyoti at 5:42 AM ¤ Permalink ¤ 8 comments
Thursday, May 15, 2008
Kadiyaan
chiten liye pani ke ankhon mein
aas liye dil mein apne
basaye purnae yaadon ke khazane
man banaye hai yaad karane ke laakho bahane

karun kaise dil-e-nazame bayan
khoju mein thujhko na jane kahan kahan
jodu main kaise en bikhren
tute palon ki kadiyan!!!
 
posted by Jyoti at 9:15 AM ¤ Permalink ¤ 11 comments