Tuesday, April 24, 2007
Jo beet gaya, woh khatam kyun nahi hota....
Jo beet gaya, woh khatam kyun nahi hota
gujra hua koi sapna maan kar
Ye man use bhool kyun nahi jata
Kyun ateet ka saya, aaj bhi dil ko dastak deta

Choti badi baaton ki ladiya, aaj bhi
uun toote bikhrein palon ko jod kar
uun guzre lamhin ki banati hai kadiyan
bhoolna chahati hun,par fir bhi...

Toda miane apne dil ko, haraya hai maine khud ko
jo hua dikha wo sabhi ko, par kitno ne jana
tukado mein bata maine apne man ko
toda khud hi maine apne har sapne ko

samay ka ek jhoka aaya,tanha kar gaya
mere samne, mere haathon se sab kuch cheen gaya
chod gaya peeche tanhayeein
aur de gaya ateet ki parchaiyaan

Jo bhi hua, mujhe uska malam nahi,
us se juda ab mere man mein koi sawal nahi
ab to num hone ke liye
bache in ankho mein aansu bhi nahi
 
posted by Jyoti at 9:54 PM ¤ Permalink ¤ 7 comments
Sunday, April 15, 2007
Nayee Aashayein
nayee aashayein hai, hai kuch umeedein nayi
har din mein bhara hai ek rang naya
chal padi hun apne sapno ki gathari le kar
rakh liya saath mein vishwash ko bun kar

haunsalon ka chota sa diya lekar
badhi hun aage chunkar ek dagar
doori manzil ki mein jaanti nahin
kya paunch paungi wahan, sochti hun aksar

dagmagate kadamon ko rakha hai ek oor
thame apno ka haath,pakade nishtha ki dor

jut gayi hun mein firse bunane ek tana bana
dekahte hai kahan ja kar poori hoti hai
zindagi ko jee lene ki tammana.....
 
posted by Jyoti at 7:25 AM ¤ Permalink ¤ 15 comments
Wednesday, April 11, 2007
My friend...
Life is fullof surprizes
indeed it is stranger than fantasies
we keep on imagining and planning
but reality always stand beyond our thinking

I had a childhood fantasy, a small wish
to have a best friend, no matter a guy or a miss

with whom i can share the understanding bond
who is a good soul and can think beyond

with whom i can fly,on whom i can rely
with whom i can share and let my heart bare
who is always there to listen
no matter how silly is that action
whether m right or wrong
but whose presence always make me strong

with whom i can talk for long hours, without any topic
but it should always a pleasure,and never a sick

who is always available,twenty-four seven
no matter its dusk or dawn
pamper me like a baby
loves me like a juvenile lady

friendship has no rules to abide
but that friend is there to stand by on my side

I thought it as my fantasy
which would never come to be a reality

But to my surprise,
i got blessed with a friend
with whom i have this kind of frienship to share
its very pure, and all my pleasure
i am thankful to god, for giving me this honour......
 
posted by Jyoti at 10:37 AM ¤ Permalink ¤ 10 comments
Tuesday, April 10, 2007
Kuch pa lene ki aas
ghane jungle ke beech,peedon ki chaoein mein
thahari hui si guzarati nadi par
ek navik naav chalata hua
bhatakata hua kuch kar raha talash
Anjaane raaston par, kuch pa lene ki hai usko aas

Nahi malum use,kis dagar hai jana
par manzil ko paa lene ki hai usmein tamanna
hai akela wo is is sangharsh ke safar mein
par manzil ko paa lene ki thaan li hai man mein

Jaanata hai karana padega use mushkion ka saamna
seekh liya hai usne kathinayeeion se joojhna
Isii tarah rastein sulajhate gaye
Mushkilein aasan hoti gayi

Mushkilein aasan hui,
atmvishwaash ki roushani se
jo kal namumkin sa tha,
woh mumkin ban jeevan ka deep ban gaya
jo kal tak kankar sa chubhta tha,
woh aaj jeevan ko mehkaane
walakhushbudar phool ban gaya
 
posted by Jyoti at 9:41 AM ¤ Permalink ¤ 4 comments
Monday, April 9, 2007
Maine Jaana...
Satrah saal ki umra thi aayi
zindagi ko jaanane ki eechha thi paayi
uski ek sunder tasveer thi banayi
par kuch aur thi sachaai

Kuch aage badh maine jaana...
zindagi waisi nahi jaisi hum sochate hai
band aankho se jise hum sanjogte hai
zindagi to hamari soch se pare hai
kalpana se door alag khade hai

Tab maine jaana...

Zindagi ek khatta meethe ehsaas hai
jise chakhne ka sabka apna andaaz hai
dekho to dukho ka bhandaar hai
jaano to aahashon ka baazar hai

To kya hua,agar kabhi dukho ke baadal cha jaye
kyun dukhi ho,kismat ki duhai de,rone baith jaye
kyun hum halaton ko khud par haavi hone dein
Tab humein zarurat hai...

Khud ko janane ki, pehchanane ki
aashaon ke naye deep jalane ki
zindagi ko ek naya swaroop dene ki
kyunki....

Humein yeh yaad rakhna hoga
ki har andhre ka ek ujala hoga
Tab maine jaana...

Zindagi ko humare anusaar dhalne ke liye
hume ladana hoga aur jeetna bhi hoga,
kyunki...
Zindagi pehle darati hai, rulati hai
aur fir hasati hai
par sangharsh karne walo ka
humesha saath deti hai....!
 
posted by Jyoti at 12:26 PM ¤ Permalink ¤ 2 comments
Kuch kehta hai woh!
Jab se maine use dekha hai
chupchap se wo wahi khada hai
atal akela, murjhaya sa
lamba sookha kuch thaka hua sa

Janne kab se wo wahan reh raha...

maine dekha hai use wahin
un tez hawaon mein bhi
un june ki tapati dhoop mein bhi
un december jade ki dhundh mein bhi

mano humse kuch keh raha....

dekho ghabrana na tum kabhi jeeven se
rehna atal har mausam mein
thakna mat kabhi sangharsh se
yahin batane main khada hun kab se

milta hai wo pul se pehle,
sadak ki bagal mein
reh raha matlabi logo ke beech,
pradushan bhaare shaher mein
kha raha hai samay ki thaped
fir bhi bina kisi shikayat ke
chupchap,atal, akela khada hai wo ped....
 
posted by Jyoti at 12:13 PM ¤ Permalink ¤ 10 comments
Bhavnayein


" Jab zindagi mein
kuch ghatne par
apne aas paas ki
duniyan ko dekh kar

mere dil ne kuch kaha
tab mere haathon ne,
kalam se kuch likha...
.. jo likha thi wo kavitayen

woh darshati thi meri
BHAVNAYEIN"
 
posted by Jyoti at 10:49 AM ¤ Permalink ¤ 4 comments