Thursday, June 19, 2008
ek muskurahat!!!
chote bacho ki hansi ki tarah
in thandi jhoomti hawaon ki tarah
in barishon ki pani ki boondo ki tarah
subah patton pe padi bheeni si os ki tarah

bachapan ko yaad karte hue honthon ki tarah
bahut hua, roothna manana aur chidana
chal ek baar zindagi musukurade tu ab zara :)

Labels: , ,

 
posted by Jyoti at 2:59 AM ¤ Permalink ¤ 16 comments
Monday, June 9, 2008
Kuch kehta hai woh
Jab se maine use dekha hai
chupchap se wo wahi khada hai
atal akela, murjhaya sa
lamba sookha kuch thaka hua sa

Janne kab se wo wahan reh raha...

maine dekha hai use wahin
un tez hawaon mein bhi
un june ki tapati dhoop mein bhi
un december jade ki dhundh mein bhi

mano humse kuch keh raha....

dekho ghabrana na tum kabhi jeeven se
rehna atal har mausam mein
thakna mat kabhi sangharsh se
yahin batane main khada hun kab se

milta hai wo pul se pehle,
sadak ki bagal mein
reh raha matlabi logo ke beech,
pradushan bhaare shaher mein
kha raha hai samay ki thaped
fir bhi bina kisi shikayat ke
chupchap,atal, akela khada hai wo ped(tree)....
 
posted by Jyoti at 10:55 PM ¤ Permalink ¤ 18 comments
Sunday, June 1, 2008
khushi ke pal
aate aate hontho pe ruk gayi,
girte girte ankhon mein tham gayi
choti si wo, uski di hui khushi
palo ko ek baar fir khushnuma kar
...jeena seekha gayi
 
posted by Jyoti at 5:42 AM ¤ Permalink ¤ 8 comments