Friday, March 28, 2008
ek baar phir se...
Purane raste, naye tarike
seekha hai sambhalna, baar baar girke,
kori nigahein,bikhrein hue panne
kore hai kajaz, kya likhu unpe

chal e musaphir, is dagar pe
chal badh, kadam badha
zara manzil se dooriyan ghata
choone khushiyon ka jahan,
chal chale ek baar phir se _...
 
posted by Jyoti at 4:46 AM ¤ Permalink ¤ 19 comments
Sunday, March 16, 2008
Gulfaam...
Yun hi chalate hue, is zindagi ke safar mein
na jane kaise mulakat hue ek gulfam se
woh na jane kaun hai, kaisa hai
par mehsus hota hai ki woh mere jaisa hai

Dekha to samajh na aaya
apni en ankhon par vishwas na hua
kuch der bita kar samjha use
bheed mein bhi tanha paya use

bahut door reh kar bhi hai woh, pakka Hindustani
jo dhoondhta hai, pardes ki galiyon mein
Ajmer ki khooshabu ko...
tarasta hai jo Pizza ke samne
apni chaupati ki pani pooriyon ko..

Roz akela rehta hai, bade se makan mein
sabhi aisho ke beech bhi,
khalipan hei uske sukun mein
na jane hai kitni kahaniyan,
suljha raha hai kai paheliyan

Chod ke sab kuch, aana chahata hai woh GHAR
koi to pakad lo uska haath
jo nibhaye hamesha uska saath
chu da do usse woh, paraya sa shehar
rok lo use, na jane do dobara, us tanha ghar mein
koi to aao mere sang,
chalo lauta layen, us pyare Gulfam ko apne "GHAR"!
 
posted by Jyoti at 4:10 AM ¤ Permalink ¤ 27 comments