Saturday, June 23, 2007
Ise kya naam dun????
woh shaam, jab akhri baar milne ka dar tha
samay ki iradon ru ba ru hone ka waqt tha
na jane kyun dil mein kuch mehsus sa ho raha tha
koi ankaha anjana sa rishtan dilon mein panap raha tha

na koi wajah, na hi thi koi chahat
par sath unka le aayi hothon pe muskurahat
intezar karaya, par azeez tha woh waqt

pehara tha is samaj ke usulon ka
par zor kab chala hai,dil pe kisi niyamon ka
pahiyon ki raftar ke sath chale hum kuch door
pani thi na koi manzil,bas hum to yuhi chale huzoor

na jane kya tha unhe kehna
na hi chaha tha humne kuch sunana
pal do pal ki khushiyon ke liye
sath chale kuch door hum ek duje ke liye

is ankahe anjane se rishten ko kya mein naam dun
lagta hai dar kisi mod par use kho na dun
socha batau unhe ki kya dil mein hai jagah unki
par kaise piroyun mein ladi lafazon ki

hum keh na sake,shayad woh samajh kar bhi khamosh rahe
dil ke in darmiyaano ko hum dono hi bhar na sake
chale hum apne apne dagar, badhe apni manil ki or
bina kuch izhaar kiye, thame ek duje ke ehsaas ki dor

rehne dete yun hi, is ankahe,ulajhe hue rishte ko
bina diye koi naam,jee le ne do is azeez ehsas bhare pyar ko!
 
posted by Jyoti at 1:37 PM ¤ Permalink ¤ 22 comments
Na Jane...
Na jane zindagi kise kehte hai'
woh jo ab tak maine jana ya
jo mujhe aage dikh raha hai
sach kya hai, jo kal jana
tha ya jo aaj pehchana hai

zindagi ki yeh khamoshi
kuch to keh rahi hai
ek ajeeb si awaz dil
mein goonj rahi hai
anjane se mod pe hum
chale akele hi,
na kisi ko chod ke hum

sath le ke apno ka,
sang hai kashish doston ki
koshish hai khilane ki fir se khushabu
un murjhaye hue phoolon ki
tamanna hai ek baar uchaiyon
se ro ba ru hone ki...
 
posted by Jyoti at 1:14 PM ¤ Permalink ¤ 5 comments