Tuesday, April 10, 2007
Kuch pa lene ki aas
ghane jungle ke beech,peedon ki chaoein mein
thahari hui si guzarati nadi par
ek navik naav chalata hua
bhatakata hua kuch kar raha talash
Anjaane raaston par, kuch pa lene ki hai usko aas

Nahi malum use,kis dagar hai jana
par manzil ko paa lene ki hai usmein tamanna
hai akela wo is is sangharsh ke safar mein
par manzil ko paa lene ki thaan li hai man mein

Jaanata hai karana padega use mushkion ka saamna
seekh liya hai usne kathinayeeion se joojhna
Isii tarah rastein sulajhate gaye
Mushkilein aasan hoti gayi

Mushkilein aasan hui,
atmvishwaash ki roushani se
jo kal namumkin sa tha,
woh mumkin ban jeevan ka deep ban gaya
jo kal tak kankar sa chubhta tha,
woh aaj jeevan ko mehkaane
walakhushbudar phool ban gaya
 
posted by Jyoti at 9:41 AM ¤ Permalink ¤


4 Comments: