Monday, June 9, 2008
Kuch kehta hai woh
Jab se maine use dekha hai
chupchap se wo wahi khada hai
atal akela, murjhaya sa
lamba sookha kuch thaka hua sa

Janne kab se wo wahan reh raha...

maine dekha hai use wahin
un tez hawaon mein bhi
un june ki tapati dhoop mein bhi
un december jade ki dhundh mein bhi

mano humse kuch keh raha....

dekho ghabrana na tum kabhi jeeven se
rehna atal har mausam mein
thakna mat kabhi sangharsh se
yahin batane main khada hun kab se

milta hai wo pul se pehle,
sadak ki bagal mein
reh raha matlabi logo ke beech,
pradushan bhaare shaher mein
kha raha hai samay ki thaped
fir bhi bina kisi shikayat ke
chupchap,atal, akela khada hai wo ped(tree)....
 
posted by Jyoti at 10:55 PM ¤ Permalink ¤


18 Comments: