Jo beet gaya, woh khatam kyun nahi hota
gujra hua koi sapna maan kar
Ye man use bhool kyun nahi jata
Kyun ateet ka saya, aaj bhi dil ko dastak deta
Choti badi baaton ki ladiya, aaj bhi
uun toote bikhrein palon ko jod kar
uun guzre lamhin ki banati hai kadiyan
bhoolna chahati hun,par fir bhi...
Toda miane apne dil ko, haraya hai maine khud ko
jo hua dikha wo sabhi ko, par kitno ne jana
tukado mein bata maine apne man ko
toda khud hi maine apne har sapne ko
samay ka ek jhoka aaya,tanha kar gaya
mere samne, mere haathon se sab kuch cheen gaya
chod gaya peeche tanhayeein
aur de gaya ateet ki parchaiyaan
Jo bhi hua, mujhe uska malam nahi,
us se juda ab mere man mein koi sawal nahi
ab to num hone ke liye
bache in ankho mein aansu bhi nahi
Hi Jyoti,
Excellent expression of emotions. But contrary to your optimistic nature,
Unlike in your earlier creations,
your bubbly feelings gone somewhere?
Good writing and I have no doubts,
For these feelings are also true
Life takes us in varied moods
Somet delighting and some sorrowful
Keep it up... :-)
Satwik